Pages

May 2, 2011

Aarz hai




Taaro ko ginne wale hum na the,
akele gungunane wale hum na the,
Ye to dosti aadat laga di,
varna kisi ko itna yaad karne wale hum na the.











Iss kadar na har baat yaaron se pucho,
Jo baat raaz ki ho isharo se pucho,
Lahero se khelna to samandar ka shauk hai,
lagti hai chot kaise kinaron se pucho.





Bheg jati hai palkein tanhayi me,
darte hai koi janna le,
Pasand karte hai tez barsaat mein chlana,
kahi rote hue ko koi pehchaan na le.

Kal fursat na mili toh kya koroge,
itni si mohlat na mili toh kya karoge,
Roj kehte ho kal baat karenge,
kal hamari aakhen na kholi toh kya karoge.








Wo shasks meri jaan bana rehta hai,
uska pyar meri pehchaan bana rehta hai,
Koi yad karta hai usko kitni shidat se,
wo janta he magar anjan bana rehta hai.




Guzra waqt dil ki baat sunaega,
kabhi saath the hum hal pal yaad aayega,
Gaur se palatna zindagi ke panno ko,
kahin na nahin to hamara naam jarur nazar aayega.

No comments:

Post a Comment